likkheñge na is haar ke asbāb kahāñ tak
rakkheñge mirā dil mire ahbāb kahāñ tak
girtī huī dīvār ke saa.e meñ paḌā huuñ
shal hoñge na āḳhir mire a.asāb kahāñ tak
hasrat hai ki ta.abīr ke sāhil pe bhī utrūñ
dekhūñgā yūñhī roz na.e ḳhvāb kahāñ tak
āvāz se aarī haiñ jo TuuTī huī tāreñ
kaam aa.egī is haal meñ mizrāb kahāñ tak
vo abr kā TukḌā hai magar dekhnā ye hai
hotī haiñ nigāheñ mirī sairāb kahāñ tak
kuchh duur kināre ke manāzir to haiñ lekin
jā.egā ye dariyā yūñhī pāyāb kahāñ tak
Dartā huuñ kahīñ zabt kā pal biit na jaa.e
sho.aloñ ko chhupā.ūñgā tah-e-āb kahāñ tak