ayādat hotī jaatī hai ibādat hotī jaatī hai
mire marne kī dekho sab ko aadat hotī jaatī hai
namī sī aañkh meñ aur hoñT bhī bhīge hue se haiñ
ye bhīgā-pan hī dekho muskurāhaT hotī jaatī hai
tere qadmoñ kī aahaT ko ye dil hai DhūñDtā har dam
har ik āvāz par ik thartharāhaT hotī jaatī hai
ye kaisī yaas hai rone kī bhī aur muskurāne kī
ye kaisā dard hai ki jhunjhunāhaT hotī jaatī hai
kabhī to ḳhūb-sūrat apnī hī āñkhoñ meñ aise the
kisī ġham-ḳhāna se goyā mohabbat hotī jaatī hai
ḳhud hī ko tez nāḳhūnoñ se haa.e nochte haiñ ab
hameñ allāh ḳhud se kaisī ulfat hotī jaatī hai