udāsiyoñ ne mirī aatmā ko gherā hai
rū-pahlī chāñdnī hai aur ghup añdherā hai
kahīñ kahīñ koī taara kahīñ kahīñ jugnū
jo merī raat thī vo aap kā saverā hai
qadam qadam pe bagūloñ ko toḌte jaa.eñ
idhar se guzregā tū rāsta ye terā hai
ufuq ke paar jo dekhī hai raushnī tum ne
vo raushnī hai ḳhudā jaane yā añdherā hai
sahar se shaam huī shaam ko ye raat milī
har ek rañg samay kā bahut ghanerā hai
ḳhudā ke vāste ġham ko bhī tum na bahlāo
ise to rahne do merā yahī to merā hai