yuuñ terī rahguzar se dīvāna-vār guzre
kāñdhe pe apne rakh ke apnā mazār guzre
baiThe haiñ rāste meñ dil kā khañDar sajā kar
shāyad isī taraf se ik din bahār guzre
dār-o-rasan se dil tak sab rāste adhūre
jo ek baar guzre vo bār-bār guzre
bahtī huī ye nadiyā ghulte hue kināre
koī to paar utre koī to paar guzre
masjid ke zer-e-sāya baiThe to thak-thakā kar
bolā har ik mināra tujh se hazār guzre
qurbān is nazar pe mariyam kī sādgī bhī
saa.e se jis nazar ke sau kirdgār guzre
tū ne bhī ham ko dekhā ham ne bhī tujh ko dekhā
tū dil hī haar guzrā ham jaan haar guzre