duā hī vaj.h-e-karāmāt thoḌī hotī hai
ġhazab kī dhuup meñ barsāt thoḌī hotī hai
rah-e-vafā kī rivāyat hai sar jhukā rakhnā
bisāt-e-ishq pe ye maat thoḌī hotī hai
jo apnā naam saf-e-mo'tabar meñ likhte haiñ
ḳhud un se apnī mulāqāt thoḌī hotī hai
bahut se raaz diloñ ke diloñ meñ rahte haiñ
use batāne kī har baat thoḌī hotī hai
dil o nazar meñ jo bas jaa.e dil-rubā Thahre
ki dilrubā.ī koī zaat thoḌī hotī hai
'hijāb' ahl-e-junūñ meñ shumār hone kī
asaas izzat-e-sādāt thoḌī hotī hai