al-amāñ ki sūraj hai merī jaan ke pīchhe
aur saañp baiThā hai sā.ebān ke pīchhe
ḳhush-gavār mausam par kāmyābiyāñ mabnī
man-chalā samundar hai bādbān ke pīchhe
ham se rah-navardoñ ko dasht raas kyā aatā
āḳhirash palaTnā thā ḳhaak chhān ke pīchhe
chīḳh al-madad shāyad dast-e-ġhaib aa jaa.e
noveloñ ke lashkar haiñ dāstān ke pīchhe
tiir khā ke pahlū meñ maiñ idhar taḌaptā thā
aur merī parchhā.īñ thī kamān ke pīchhe
muzmahil na ho jaa.e quvvatoñ kī tābānī
koī chhup ke baiThā hai āsmān ke pīchhe
nāqid-o-halākū meñ rabt-e-ḳhās hai 'yāvar'
kuchh qalam-numā ḳhanjar haiñ zabān ke pīchhe