mirī duāoñ kī sab naġhmagī tamām huī
sahar to ho na sakī aur phir se shaam huī
khulā jo mujh pe sitam-gāh-e-vaqt kā manzar
to mujh pe aish o tarab jaisī shai harām huī
mire vajūd kā sahrā jahāñ meñ phail gayā
mire junūñ kī nahūsat zamīñ ke naam huī
abhī girī mirī dīvār-e-jism aur abhī
bisāt-e-dīda-o-dil sair-gāh-e-ām huī
tū lā-makāñ meñ rahe aur maiñ makāñ meñ asiir
ye kyā ki mujh pe itā.at tirī harām huī