maiñ akasr sochtī huuñ zindagī ko kaun likkhegā
na maiñ likkhūñ to phir is bebasī ko kaun likhegā
bahut masrūf haiñ ahl-e-jahāñ harza-sarā.ī meñ
ab āshob-e-suḳhan meñ be-hisī ko kaun likkhegā
ka.ī sadiyāñ guzārīñ manziloñ ke khoj meñ phirte
to phir mere sivā is gumrahī ko kaun likkhegā
ham is shahr-e-jafā-pesha se kuchh ummīd kyā rakkheñ
yahāñ is hāv-hū meñ ḳhāmushī ko kaun likkhegā
use fursat nahīñ sāhil, samundar, mauj likhne se
pareshāñ huuñ mirī tishna-labī ko kaun likkhegā
'hijāb' is shahr-e-nā-pursāñ meñ sab jhagḌā anā kā hai
surūr-e-ḳhud-parastī meñ ḳhudī ko kaun likkhegā