suḳhan ko be-hisī kī qaid se bāhar nikālūñ
tumhārī diid kā koī nayā manzar nikālūñ
ye be-masraf sī shai har gaam aaḌe aane vaalī
anā kī keñchulī ko jism se bāhar nikālūñ
tilismī mārke kahte haiñ ab sar ho chuke haiñ
zarā zambīl ke kone se maiñ bhī sar nikālūñ
lahū mahkā to saarā shahr pāgal ho gayā hai
maiñ kis saf se uThūñ kis ke liye ḳhanjar nikālūñ
bas ab to munjamid zehnoñ kī 'yāvar' barf pighle
kahāñ tak apnī istedād ke jauhar nikālūñ