ham apnī pusht par khulī bahār le ke chal diye
safar meñ the safar kā e'tibār le ke chal diye
saḌak saḌak mahak rahe the gul-badan saje hue
thake badan ik ik gale kā haar le ke chal diye
jibillatoñ kā ḳhuun khaulne lagā zamīn par
to ahd-e-irtiqā ḳhalā ke paar le ke chal diye
pahāḌ jaisī azmatoñ kā dāḳhila thā shahr meñ
ki log āgahī kā ishtihār le ke chal diye
jarāhateñ milīñ hameñ bhī inkisār ke evaz
jhukā ke sar sadāqatoñ kī haar le ke chal diye