mas.aloñ kī bhiiḌ meñ insāñ ko tanhā kar diyā
irtiqā ne zindagī kā zaḳhm gahrā kar diyā
DeḌh neze par Tañge sūraj kī āñkheñ noch lo
be-sabab dahshat-zada māhaul paidā kar diyā
fikr kī lā-markaziyat jāgtī āñkhoñ meñ ḳhvāb
ham-ḳhayālī ne zamāne bhar ko apnā kar diyā
ik shajar ko jism kī nam sabz-gāhoñ kī talāsh
aur is tahrīk ne jañgal ko suunā kar diyā
ḳhuun kī surḳhī safedī kī tarah mahv-e-safar
kuchh na.e rishtoñ ne har rishte ko gañdā kar diyā
ik kiran tasḳhīr-e-kul kī samt thā pahlā qadam
aag ugaltī āñdhiyoñ ne ham ko andhā kar diyā