Mahmood Azhar

jis tayaqqun se jo likhna tha nahin likkha gaya

Mahmood Azhar

Hasan Abdal, Punjab, Pakistan

1989
jis tayaqqun se jo likhnā thā nahīñ likkhā gayā
āsmāñ kaaT ke miTTī pe zamīñ likkhā gayā
merī peshānī damaktī hai sitāroñ se sivā
tere hāthoñ se jahāñ harf-e-yaqīñ likkhā gayā
mauj-dar-mauj samundar se mulāqāt huī
ḳhvāb ko ḳhvāb sar-e-sat.h-e-zamīñ likhā gayā
aks-dar-aks jo likhnā thā mujhe us kā jamāl
ā.ina-ḳhāna-e-hairat ke ta.iiñ likkhā gayā
dekh kar us ko mire hosh Thikāne na rahe
ism likhnā thā kahīñ aur kahīñ likkhā gayā
haañ uThāyā thā qalam karbalā vāloñ ke liye
likhnā chāhā thā magar mujh se nahīñ likkhā gayā
donoñ sarmast haiñ ehsās-e-suḳhan-sāzī meñ
raushnī aañkh ko aur dil ko hazīñ likkhā gayā
yuuñ to safhāt siyah kartā rahā maiñ 'az.har'
chāhtā thā jo mirā shauq nahīñ likkhā gayā
Top Urdushayar.com