naġhmagī se sukūt behtar thā
maiñ thā aur ik kirā.e kā ghar thā
koī mujh sā na dūsrā aayā
yuuñ to har shaḳhs mujh se behtar thā
har-taraf qaht-e-āb thā lekin
ek tūfān mere andar thā
maiñ banā thā ḳhalīfa-e-daurāñ
yuuñ ki kāñToñ kā taaj sar par thā
maiñ musalsal vahāñ chalā ki jahāñ
do-qadam kā safar bhī dūbhar thā
ghir gayā thā maiñ ik jazīre meñ
aur chāroñ taraf samundar thā
ek ik mauj mujh se Takrā.ī
jurm ye thā ki maiñ shanāvar thā
vahshatoñ meñ balā kā thā phailāv
dasht aur ghar kā ek manzar thā
ek dīvār darmiyān rahī
varna donoñ kā ek hī ghar thā