ridā-e-sañg oḌh kar na so gayā ho kāñch bhī
harīm-e-zaḳhm lāzmī hai ḳhair-o-shar kī jāñch bhī
ga.e baras kī raakh jis ko daan kī thī aa gayā
isī nadī se ġhusl kar ke do-hazār-pāñch bhī
muhāvare kī rū se jāñchiye to vo sarāb hai
maiñ sāñch bhī nahīñ nahīñ hai is badan kī aañch bhī
bharam zarā sā mastiyoñ kā rakh ki ham haiñ ghaat meñ
ġhazāl-e-mast chashm ho idhar ko ik qalāñch bhī