Tanveer Monis

teri chaal dhun teri sans sur mere dil ko aa ke sambhaal bhi

Tanveer Monis

tirī chaal dhun tirī saañs sur mire dil ko aa ke sambhāl bhī
jo ye jal-tarañg zarā bajā to ye Daal degā dhamāl bhī
na uchhāl jhiil meñ kañkarī ki ye ḳhaufnāk sā khel hai
isī khel meñ na utar paḌe tirī aañkh par ye vabāl bhī
ka.ī log morcha-band ḳhauf kī ret meñ haiñ karam karam
tire haath meñ ye jo sañg hai kisī samt us ko uchhāl bhī
ai mukartī aañkh adāvateñ tū qayām bhī haiñ sabāt bhī
tire saath dushmanī ik taraf nahīñ dostī kī majāl bhī
tire tark-e-rāh ke faisle kā javāz maiñ nahīñ māñgtā
magar aane vaalā koī to vaqt uThā.egā ye savāl bhī
yad-e-baizā kī tū hai mālkin ai safed sañg kī mūrtī
tirī aañkh dariyā-e-nīl hai mirī raat koī nikāl bhī
Top Urdushayar.com