Muzaffar Razmi

abhi KHamosh hain sholon ka andaza nahin hota

Muzaffar Razmi

Muzaffarnagar, Uttar pradesh, India

1936-2012
abhī ḳhāmosh haiñ sholoñ kā andāza nahīñ hotā
mirī bastī meñ hañgāmoñ kā andāza nahīñ hotā
jidhar mahsūs ho ḳhushbū usī jānib baḌhe jaao
añdherī raat meñ rastoñ kā andāza nahīñ hotā
jo sadiyoñ kī kasak le kar guzar jaate haiñ duniyā se
mo.arriḳh ko bhī un lamhoñ kā andāza nahīñ hotā
ye rahbar haiñ ki rahzan haiñ masīhā haiñ ki qātil haiñ
hameñ apne numā.indoñ kā andāza nahīñ hotā
nazar ho laakh gahrī aur basīrat-āshnā phir bhī
naqāboñ meñ kabhī chehroñ kā andāza nahīñ hotā
zamīñ par aao phir dekho hamārī ahmiyat kyā hai
bulandī se kabhī zarroñ kā andāza nahīñ hotā
vafāoñ ke tasalsul se bhī aksar TuuT jaate haiñ
mohabbat ke hasīñ rishtoñ kā andāza nahīñ hotā
utar jaate haiñ ruuh o dil meñ kitnī vus.ateñ le kar
ġhazal ke dilrubā lahjoñ kā andāza nahīñ hotā
salīqe se sajānā ā.īnoñ ko varna ai 'razmī'
ġhalat ruḳh ho to phir chehroñ kā andāza nahīñ hotā
Top Urdushayar.com