Muzaffar Razmi

nakaami-e-qismat ka gila chhoD diya hai

Muzaffar Razmi

Muzaffarnagar, Uttar pradesh, India

1936-2012
nākāmi-e-qismat kā gila chhoḌ diyā hai
tadbīr se taqdīr kā ruḳh moḌ diyā hai
vo jurm bhī ik azmat-e-kirdār hai jis ne
TuuTā huā ik rishta-e-dil joḌ diyā hai
dil Duub chalā āḳhir-e-shab ḳhushk haiñ āñkheñ
aa jā ki sitāroñ ne bhī dam toḌ diyā hai
bahte hue dekhe haiñ udhar vaqt ke dhāre
ruḳh ham ne irādoñ kā jidhar moḌ diyā hai
fankār kā ehsās-e-ziyā-bār thā jis meñ
hālāt ne vo shīsh-mahal toḌ diyā hai
andāz-e-ġhazal aap kā kyā ḳhuub hai 'razmī'
mahsūs ye hotā hai qalam toḌ diyā hai
Top Urdushayar.com