farāz-e-dār pe ik din sajā ke dekh hameñ
hamīñ haiñ ahl-e-vafā aazmā ke dekh hameñ
ham ek naqsh-e-mohabbat haiñ tere dāman par
miTā sake to zamāne miTā ke dekh hameñ
hameñ bujhā ke andheroñ meñ kyuuñ bhaTaktā hai
charāġh-e-rāh the ham phir jalā ke dekh hameñ
tujhe bhulāne kā vaada to kar liyā ham ne
magar ye shart hai tū bhī bhulā ke dekh hameñ
ham ahl-e-fan to shagūfe haiñ rañg o nik.hat ke
kisī gulāb kī sūrat ugā ke dekh hameñ
rulā ke ham ko sunā hai ki tū bhī rotā hai
hamāre sāmne aa phir rulā ke dekh hameñ
nazar na ā.eñge ham qahqahoñ kī mahfil meñ
jo dekhnā hai to aañsū bahā ke dekh hameñ
hamāre ḳhvāb-e-bahārāñ kī aabrū rakh le
kisī kalī kī tarah muskurā ke dekh hameñ
har ek ġham ko isī zid meñ bhuul jā.ūñgā
vo kah rahe haiñ ki 'razmī' bhulā ke dekh hameñ