yaad ye kis kī aa ga.ī zehn kā bojh utar gayā
saare hī ġham bhulā ga.ī zehn kā bojh utar gayā
zindagī kyā hai ġham hai kyā sochte sochte yūñhī
mujh ko hañsī jo aa ga.ī zehn kā bojh utar gayā
shām-e-firāq meñ mujhe tere hī ġham ke faiz se
niind achānak aa ga.ī zehn kā bojh utar gayā
aaj vafā ke saaz par kaun ye ibrat-e-suḳhan
merī ġhazal sunā ga.ī zehn kā bojh utar gayā
shiddat-e-rañj-o-yās meñ bhūlī huī koī ḳhushī
itnā mujhe rulā ga.ī zehn kā bojh utar gayā
achchhā huā ki dil kī baat aaj kisī ke rū-ba-rū
merī zabāñ tak aa ga.ī zehn kā bojh utar gayā
ye bhī ḳhudā kā fazl hai merī navā-e-zindagī
auroñ ke kaam aa ga.ī zehn kā bojh utar gayā
kashmakash-e-hayāt meñ had se baḌhīñ jo uljhaneñ
aap kī yaad aa ga.ī zehn kā bojh utar gayā
'razmī'-e-be-qarār ko ahl-e-ḳhulūs kī nazar
pyaar se jab silā ga.ī zehn kā bojh utar gayā