ḳhushbū badan kī ḳhālī samundar havāoñ ke
kyuuñ chheḌte haiñ ham ko payambar sadāoñ ke
dekhī na jaa.e ham se pareshāñ barahnagī
chunte haiñ apne jism meñ patthar ridāoñ ke
phir buuñd buuñd Tapkī hamāre badan se dhuup
phir aks aks bikhre haiñ manzar fazāoñ ke
ye aur baat apnī hī tah tak na jā sake
utre the chāñd par bhī shanāvar ḳhalāoñ ke
tapte rahe haiñ ḳhāmushī kā zahr umr-bhar
shāyad vo jānte the muqaddar duāoñ ke
'īraj' sadā-e-rañg mahakne lagī havā
qaus-e-quzah ne khol diye par ghaTāoñ ke