hargiz kisī bhī taur kisī ke na ho sake
ham us ke baad aur kisī ke na ho sake
aayā thā aisā daur sabhī ke hue the ham
phir aayā aisā daur kisī ke na ho sake
afsos tum ko itnī bhī fursat nahīñ milī
tum mujh pe karte ġhaur kisī ke na ho sake
ya.anī ham umr bhar rahe barbād ḳhud meñ hī
ya.anī Thikāna-Thor kisī ke na ho sake
jo log sab kā ḳhaas bane phir rahe the 'aks'
vo log ḳhaas taur kisī ke na ho sake