ek sadī meñ biitā huuñ
maiñ bhī kaisā lamha huuñ
bik jaatā huuñ hāthoñ-hāth
had se ziyāda sastā huuñ
band paḌā huuñ muddat se
kahne ko darvāza huuñ
merī shakl pe mat jaanā
andar andar TuuTā huuñ
mat samjhā kar mujh ko tū
yaar bahut maiñ uljhā huuñ
sab kī nazreñ mujh par haiñ
kyā laḌkī kā dupaTTa huuñ