kisī ke bichhaḌne kā Dar hī nahīñ
safar meñ koī ham-safar hī nahīñ
bahut shauq ghar ko sajāne kā thā
magar kyā kareñ apnā ghar hī nahīñ
abhī dil meñ raushan hai aisā diyā
havāoñ ko jis kī ḳhabar hī nahīñ
ḳhudā jaane kaisī ḳhatā ho ga.ī
duāoñ meñ ab ke asar hī nahīñ
likhūñ zaḳhm ko phuul dil ko chaman
nahīñ mujh meñ aisā hunar hī nahīñ
suneñ bhī to kyā aur sunā.eñ to kyā
koī dāstāñ muḳhtasar hī nahīñ
chalo aaj 'fārūq' se bhī mileñ
ka.ī din se us kī ḳhabar hī nahīñ