dhuup meñ jalte haiñ tab saaya bantā hai
baḌe jatan se koī apnā bantā hai
saare bikhre ḳhvāb ikaTThā karne par
ek mukammal terā chehra bantā hai
ghar ke donoñ jānib dar lagvā.e haiñ
ab to terā dastak denā bantā hai
pyaar karo to ek ḳharābī ye bhī hai
had darje kā yaar tamāshā bantā hai
us kā pahlū sirf mayassar hai mujh ko
ya.anī merā itnā banñā bantā hai