umr-bhar siine meñ ik dard dabā.e rakkhā
ek be-nām se rishte ko nibhā.e rakkhā
thā mujhe vahm-o-gumāñ ki vo faqat merī hai
aur us ne bhī bharam merā banā.e rakkhā
āñdhiyāñ sharm se ho jaa.eñ na paanī paanī
sar yahī soch ke peḌoñ ne jhukā.e rakkhā
vaise har baat se rakkhā use vāqif ham ne
lekin afsāna-e-ulfat ko chhupā.e rakkhā
ek rishta jise maiñ de na sakā koī naam
ek rishta jise tā-umr nibhā.e rakkhā
kūza-gar tujh ko banānā hī nahīñ thā jab kuchh
kis liye chaak pe tā-umr chaḌhā.e rakkhā