din-rāt us ke hijr kā dīmak lage lage
dil ke tamām ḳhāne mujhe khokhle lage
mahfil meñ naam us kā pukārā gayā thā aur
sab log the ki merī taraf dekhne lage
afsos fikr-e-jāñ hī nahīñ rahtī hai hameñ
afsos aap jaan hameñ mānñe lage
jo kahte the koī tujhe Thukrā na pā.egā
jab baat ḳhud pe aa.ī to vo sochne lage
maiñ aaj tak na Thiik se ḳhud ko samajh sakā
ik hī dafa meñ aap mujhe jānñe lage