Aks samastipuri

judai mein teri aankhon ko jhil karte hue

Aks samastipuri

Narhan, Bihar, India

1996
judā.ī meñ tirī āñkhoñ ko jhiil karte hue
subūt zaa.e.a kiyā hai dalīl karte hue
maiñ apne aap se ḳhush bhī nahīñ huuñ jaane kyoñ
so ḳhush huuñ apne hī raste tavīl karte hue
na jaane yaad use aayā kyā achānak hī
gale lagā liyā mujh ko zalīl karte hue
kahīñ tirī hī tarah ho gayā na ho ye dil
so Dar rahā huuñ ab us ko vakīl karte hue
thakan safar kī to mahsūs hī nahīñ hotī
chalūñ tumheñ jo sar-e-rāh feel karte hue
Top Urdushayar.com