chhoḌ kar aise gayā hai chhoḌne vaalā mujhe
dosto us ne kahīñ kā bhī nahīñ chhoḌā mujhe
bol-bālā is qadar ḳhāmoshiyoñ kā hai yahāñ
kāTne ko dauḌtā hai merā hī kamra mujhe
haañ vahī tasvīr jo khīñchī thī maiñ ne saath meñ
haañ vahī tasvīr kar jaatī hai ab tanhā mujhe
baat to ye ba.ad kī hai kuchh banūñgā yā nahīñ
kūza-gar tū chaak pe to raqs karvātā mujhe
bas isī ummīd pe hotā gayā barbād maiñ
gar kabhī bikhrā to aa kar tū sambhālegā mujhe
āThvīñ shab bhī mahz kuchh ghanToñ kī mehmān hai
gar manānā hotā to ab tak manā letā mujhe