fāsloñ kī barf pighlegī mujhe ye Dar na thā
is se pahle lams kā sūraj mire sar par na thā
dil ke darvāze pe dastak de rahā thā kaun thā
ik zarā sochā koī chehra koī paikar na thā
aa.ine kī zid thī bāñTe jaa.eñ chehroñ ke nuqūsh
varna maiñ bhī kāñch kī guḌiyoñ kā saudāgar na thā
zard ThiThurī dhuup meñ pahne hue uryāñ badan
maiñ ne pahchānā vo dīvāna na thā ḳhud-sar na thā
is se pahle yā to 'īraj' ne kabhī dekhā na chāñd
yā kabhī is tarah pahle chāñd sho.ala-gar na thā