ba-zāhir tujh se milne kā koī imkāñ nahīñ hai
dilāsoñ se bahaltā ye dil-e-nādāñ nahīñ hai
chaman meñ laakh bhī barse agar abr-e-bahārāñ
to naḳhl-e-dil harā hone kā kuchh imkāñ nahīñ hai
havā-e-vaqt ne jis basti-e-dil ko ujāḌā hai
use ābād karnā kaam kuchh āsāñ nahīñ hai
vo ik dīvār hai haa.il hamāre darmiyāñ jo
kisī rauzan kā us meñ ab koī imkāñ nahīñ hai
agarche khā ga.ī dīmak ġhamoñ kī bām-o-dar ko
magar TuuTī abhī tak ye fasīl-e-jāñ nahīñ hai
tumhārī ruuh 'bushrā' qaid hai tan ke qafas meñ
ise āzād karnā mo.ajaza āsāñ nahīñ hai