Akbar Haidri

kis chaman ki KHak mein phulon ka mustaqbil nahin

Akbar Haidri

kis chaman kī ḳhaak meñ phūloñ kā mustaqbil nahīñ
dūrbīñ nazroñ meñ rañg-o-bū haiñ āb-o-gil nahīñ
shoḳhiyāñ haiñ jis kī har jumbish meñ lākhoñ be-naqāb
kyuuñ vo duzdīda-nigāhī haq-shanās-e-dil nahīñ
jabr sahtā huuñ magar kab tak sahūñ insān huuñ
sabr kartā huuñ magar dil sabr ke qābil nahīñ
ai havādis-āshnā īzā-talab dil muzda-bād
jā rahā huuñ us taraf ab maiñ jidhar manzil nahīñ
kyā huā kyuuñ chhū ke tum ġhunche ko pīchhe haT ga.e
ye gul-e-nau-ḳhez hai merā shikasta-dil nahīñ
ai nigāh-e-nāz terī bazm meñ laayā huuñ maiñ
aaj us dil ko jo barq-e-tūr kā qaa.il nahīñ
bazm-e-husn-o-ishq meñ 'akbar' kī afsurda-dilī
daad ke laa.eq nahīñ be-dād ke qābil nahīñ
Top Urdushayar.com