ye sitam ik ḳhvāhish-e-mauhūm par
lutf farmā ḳhātir-e-maġhmūm par
ai masarrat mere ġham-ḳhāne se duur
ye girānī aur mire maqsūm par
pursish-e-hālāt-e-ġham se darguzar
rahm farmā ab dil-e-marhūm par
banda-parvar sirf itnī arz thī
farz kuchh ḳhādim ke haiñ maḳhdūm par
sabr kartī hī rahī be-chārgī
zulm hotā hī rahā mazlūm par
kyā mubassir dīda-e-ḳhūñ-bār thā
tabsira kartā rahā maqsūm par
ik tabassum thā javāb-e-ārzū
vus.ateñ qurbāñ huiiñ mafhūm par
ibtidā-e-ġham kī dūr-andeshiyāñ
shaad hoñ anjām-e-nā-ma.alūm par
aaj tak 'akbar' huuñ maiñ sābit-qadam
jāda-e-ḳhuddārī-e-mauhūm par