kyā kahūñ jazbāt kā tūfān kitnā tez hai
dil ba-hadd-e-be-ḳhudī ehsās se labrez hai
ishq kī duniyā meñ har taklīf rāhat-ḳhez hai
iztirāb-e-dil bhī ik had tak sukūñ-āmez hai
dīdanī hai ab shikast-e-zabt kī be-chārgī
muskurātā huuñ magar dil dard se labrez hai
dil nigāh-e-nāz ke uThne se pahle uTh gayā
mere ehsāsāt kī raftār kitnī tez hai
aañkh meñ aañsū jigar meñ dard dil meñ iztirāb
aah zabt-e-āh bhī kitnā talātum-ḳhez hai
ishq kī sāda-dilī hai har taraf chhā.ī huī
bārgāh-e-husn meñ har aarzū nau-ḳhez hai