juzv-o-kul kā ham is andāz se rishta samjhe
dekh kar qatre ko māhiyyat-e-dariyā samjhe
har adā terī ham-āhañg thī dil se itnī
har adā ko tirī ham dil kā taqāzā samjhe
ham vo ḳhud-bīñ haiñ ki hañgāma-e-dil ke aage
saare hañgāma-e-gīti ko tamāshā samjhe
ham ko miTTī ke gharoñdoñ kī haqīqat ma.alūm
jism kī ḳhaak ko ham nafs kā saaya samjhe
ham ki har nisbat-e-mauhūm ko apnāte rahe
ik shikasta se ta.alluq ko bhī kitnā samjhe
ustuvār itnā huā rishta-e-āvāz 'akbar'
dil kī dhaḌkan ko bhī ham dost kā lahja samjhe