maut us bekas kī ġhāyat hī sahī
umr bhar jis ne musībat hī sahī
husn kā anjām dekheñ ahl-e-husn
ishq merā be-haqīqat hī sahī
zindagī hai chashm-e-ibrat meñ abhī
kuchh nahīñ to aish-o-ishrat hī sahī
dekh letā huuñ tabassum husn kā
ġham-parastī merī fitrat hī sahī
parda-dār-e-sādgī hai har adā
ye tasanño be-zarūrat hī sahī
darpai-e-āzār hai qismat to ho
ab mujhe tum se mohabbat hī sahī
hūr-e-be-jā kī talāfī kuchh to kar
ḳhair iz.hār-e-nadāmat hī sahī
ai ajal kuchh zindagī kā haq bhī hai
zindagī terī amānat hī sahī
kyā karūñ 'akbar' dilī jazbāt ko
is taġhazzul meñ qadāmat hī sahī