sar Takrā.eñ jis se vo dīvār kahāñ
jism kahāñ aur ruuh kā ye āzār kahāñ
tanhā.ī kā kab ye aalam thā pahle
chhūT ga.e haiñ mujh se mere yaar kahāñ
andhe shahar ke sab ā.īne andhe haiñ
aise meñ ḳhud apnā bhī dīdār kahāñ
TuuTī TuuTī chand shabīheñ baaqī haiñ
dil meñ ab yādoñ kā vo ambār kahāñ
mere andar mujh se laḌtā hai koī
is paikār meñ jiit kahāñ aur haar kahāñ
ruuh do-nīm aur jism bhī hai reza reza
ḳhaak uḌātā phirtā hai pindār kahāñ
kyuuñ ye kashtī Dol rahī hai lahroñ par
TuuTā hai is kashtī kā patvār kahāñ