ham jahāñ rahte haiñ ḳhvāboñ kā nagar hai koī
is ḳharābe meñ na dīvār na dar hai koī
jā basā thā jo kisī hijr ke sahrā meñ kabhī
ai havāo kaho is dil kī ḳhabar hai koī
sūrat-e-mauj-e-sabā log idhar se guzre
ye to anjānī havāoñ kī Dagar hai koī
hijr-e-dīdār bhī mahrūmī-e-dīdār bhī hijr
jo kabhī ḳhatm na ho aisā safar hai koī
maiñ ki andar se pighaltā hī chalā jaatā huuñ
mere yaḳh-basta badan meñ bhī sharar hai koī
ye fazā raas nahīñ dasht-mizājoñ ke liye
is saman-zār meñ patthar hai na sar hai koī
jism aur jaañ kā ye āzār ye mahshar 'akbar'
kisī andesha-e-bātin kā asar hai koī