badan kī aañch se chehra nikhar gayā kaisā
ye merī ruuh meñ sho.ala utar gayā kaisā
hazār āñkhoñ se maiñ us kā muntazir aur vo
mire qarīb se ho kar guzar gayā kaisā
ye kis havā kī anā toḌtī rahī ham ko
hamāre ḳhvāboñ kī ḳhirman bikhar gayā kaisā
dikhā ke ek jhalak chāñd ho gayā ojhal
chaḌhā na thā ki ye dariyā utar gayā kaisā
kis āftāb se tarsīl-e-nūr jaarī hai
dhanak kā rañg zamīñ par bikhar gayā kaisā
na apne qad kā na apne hajm kā hai ehsās
ḳhalā kā dasht subuk-bār kar gayā kaisā
kisī gumān ke sahrā meñ kaisī ḳhaak uḌī
kisī yaqīn kā partav ubhar gayā kaisā
vo tīra-chashm ki sūraj se bad-gumān rahā
ḳhud apne saa.e kī aahaT se Dar gayā kaisā