paiham ik iztirāb ajab ḳhushk-o-tar meñ thā
maiñ ghar meñ aa rukā thā mirā ghar safar meñ thā
kyā raushnī thī jis ko ye āñkheñ taras ga.iiñ
kyā aag thī ki jis kā dhuāñ mere sar meñ thā
bas ek dhuñd ḳhvāboñ kī fikr-o-ḳhayāl meñ
bas ek lams dard kā shām-o-sahar meñ thā
har ahd ko sameTe hue chal rahā thā maiñ
nādīda sā.atoñ kā ujālā nazar meñ thā
har lamha thā talāsh kī sadiyāñ liye hue
merī baqā kā raaz hī ilm-o-ḳhabar meñ thā