Naz Khialvi

dil ka har zaKHm jawan ho to ghazal hoti hai

Naz Khialvi

Faisalabad, Punjab, Pakistan

1947-2010
dil kā har zaḳhm javāñ ho to ġhazal hotī hai
dard nas nas meñ ravāñ ho to ġhazal hotī hai
dil meñ ho shauq-e-mulāqāt kā tūfān bapā
aur raste meñ chunāñ ho to ġhazal hotī hai
shauq hasrat ke sharāroñ se jilā paatā hai
jān-e-jāñ dushman-e-jāñ ho to ġhazal hotī hai
kuchh bhī hāsil nahīñ yak-tarfa mohabbat kā janāb
un kī jānib se bhī haañ ho to ġhazal hotī hai
shaukat-e-fan kī qasam husn-e-taḳhyyul kī qasam
dil ke ka.abe meñ azaañ ho to ġhazal hotī hai
maiñ agar un ke ḳhad-o-ḳhāl meñ kho jā.ūñ kabhī
vo kaheñ naaz kahāñ ho to ġhazal hotī hai
Top Urdushayar.com