bahut arsa gunahgāroñ meñ paiġhambar nahīñ rahte
ki sañg-o-ḳhisht kī bastī meñ shīshagar nahīñ rahte
adhūrī har kahānī hai yahāñ zauq-e-tamāshā kī
kabhī nazreñ nahīñ rahtīñ kabhī manzar nahīñ rahte
bahut mahñgī paḌegī pāsbānī tum ko ġhairat kī
jo dastāreñ bachā lete haiñ un ke sar nahīñ rahte
mujhe nādim kiyā kal raat darvāze ne ye kah kar
sharīf insān ghar se der tak bāhar nahīñ rahte
ḳhud-āgāhī kī manzil umr-bhar un ko nahīñ miltī
jo kūcha-gard apnī zaat ke andar nahīñ rahte
paTaḳh detā hai sāhil par samundar murda jismoñ ko
ziyāda der tak andar ke khoT andar nahīñ rahte
bajā hai zo.am sūraj ko bhī naaz apnī tamāzat par
hamāre shahr meñ bhī mom ke paikar nahīñ rahte