azāb-e-hasrat-o-ālam se nikal jaao
mirī sahar se mirī shaam se nikal jaao
bahāna chāhiye ghar se koī nikalne ko
kisī talab meñ kisī kaam se nikal jaao
hamāre ḳhāna-e-dil meñ raho sukūn ke saath
nikalnā chāho to ārām se nikal jaao
ḳhudā nasīb kare tum ko be-gharī kā mazāq
hisār-e-shuq-e-dar-o-bām se nikal jaao
safar hai shart musāfir-navāz bahutere
kisī taraf bhī kisī kaam se nikal jaao
nikāl pheñko diloñ se but-e-buġhz-o-inād
nahīñ to halqa-e-islām se nikal jaao