phūlne-phalne lage haiñ sāhab-e-zar aur bhī
tañg ho jā.egī dhartī muflisoñ par aur bhī
ye zamīñ zarḳhez hogī ḳhuun pī kar aur bhī
khetiyāñ uglā kareñgī la.al-o-gauhar aur bhī
har zamāne meñ subūt-e-ishq māñgā jā.egā
laal maaoñ ke chaḌheñge sūliyoñ par aur bhī
phūlte-phalte haiñ jazbe dard ke māhaul meñ
zaḳhm khā.eñ to nikharte haiñ suḳhan-var aur bhī
āftāb ubhrā hai jis din se na.ī tahzīb kā
ho gayā tārīk insāñ kā muqaddar aur bhī
jab chalī tahrīk ta.amīr-e-vatan kī dosto
ho ga.e barbād kuchh baste hue ghar aur bhī
jis qadar bāhar kī raunaq meñ magan hotā gayā
baḌh ga.ī be-raunaqī insāñ ke andar aur bhī
maiñ banātā jā rahā huuñ aur bhī kuchh aa.ine
vaqt barsātā chalā jaatā hai patthar aur bhī
bastiyoñ par hādsoñ kī chāñd-mārī ke liye
baḌh rahe haiñ auj kī jānib sitamgar aur bhī
munfarid ustād 'dānish' bhī haiñ ġhālib kī tarah
yuuñ to duniyā meñ haiñ 'nāz' achchhe suḳhan-var aur bhī