Muqeem Ehsan Kaleem

nahin kuchh aur to mumkin thi KHud-kushi phir bhi

Muqeem Ehsan Kaleem

nahīñ kuchh aur to mumkin thī ḳhud-kushī phir bhī

hai koī baat ki jiitā hai aadmī phir bhī

ye tīrgī to bas ik gardish-e-zamīñ tak hai

magar ye raat jo ham se na kaT sakī phir bhī

chaman luTā hai ḳhud ahl-e-chaman sāzish se

kalī kalī hai magar mahv-e-ḳhvāb phir bhī

kisī ko ke bhī akasr gumāñ ye hotā hai

ki jaise rah ga.ī baaqī koī kamī phir bhī

hamīñ pe yūrish-e-zulmat hamīñ haiñ kushta-e-shab

hamīñ haiñ pesh-rav-e-sub.h-o-raushnī phir bhī

Top Urdushayar.com