kabhī to harf-e-duā yuuñ zabāñ talak aa.e
utar ke jis kī pazīrā.ī ko falak aa.e
kam-az-kam itne to ā.īna-dār hoñ chehre
ki dil ke haal kī chehre pe bhī jhalak aa.e
to phir ye kaun sā rishta hai gar na uns kahūñ
jo ashk mere tirī aañkh se chhalak aa.e
sajā sajā ke jo rakkhe the sadiyoñ sadiyoñ ne
vo ḳhvāb ḳhvāb manāzir palak palak aa.e
'naqīb' yuuñ tire lahje meñ be-hijāb ho fan
ġhazal ke dosh se āñchal zarā Dhalak aa.e