kahāñ jaate haiñ aage shahr-e-jāñ se
ye bal khāte hue raste yahāñ se
vahāñ ab ḳhvāb-gāheñ ban ga.ī haiñ
uThe the āb-dīda ham jahāñ se
zamīñ apnī kahānī kah rahī hai
alag andesha-e-sūd-o-ziyāñ se
inhīñ bante-bigaḌte dā.eroñ meñ
vo chehra kho gayā hai darmiyāñ se
uThā laayā huuñ saare ḳhvāb apne
tirī yādoñ ke bosīda makāñ se
maiñ apne ghar kī chhat par so rahā huuñ
ki bāteñ kar rahā huuñ āsmāñ se
vo in āñkhoñ kī mehrāboñ meñ har shab
sitāre Taañk jaatā hai kahāñ se
'rasā' is ābnā-e-roz-o-shab meñ
damakte haiñ kañval fānūs-e-jāñ se