umr guzrī rahguzar ke ās-pās
raqs karte us nazar ke ās-pās
zulf khultī hai to uThtā hai dhuāñ
ābshār-e-chashm-e-tar ke ās-pās
kauñdtī haiñ bijliyāñ barsāt meñ
tā.ir-e-be-bāl-o-par ke ās-pās
raat bhar āvāra patte aur havā
raqs karte haiñ shajar ke ās-pās
chhoḌ aayā huuñ matā-e-jāñ kahīñ
ġhāliban us rahguzar ke ās-pās
baal bikhrā.e ye būḌhī chāñdnī
DhūñDtī hai kyā khañDar ke ās-pās
is galī meñ ek laḌkā aaj bhī
ghūmtā rahtā hai ghar ke ās-pās
ek sūrat-āshnā saa.e kī dhuup
paḌ rahī hai bām-o-dar ke ās-pās
kaise pur-asrār chehre haiñ 'rasā'
ḳhvāb-gāh-e-shīsha-gar ke ās-pās