Rasa Chughtai

sar uThaya to sar rahega kya

Rasa Chughtai

Jaipur, Rajasthan, India

1928-2018
sar uThāyā to sar rahegā kyā
ḳhauf ye umr-bhar rahegā kyā
us ne zanjīr kar ke rakkhā hai
ham se vo be-ḳhabar rahegā kyā
paañv rahte nahīñ zamīñ pe tire
haath dastār par rahegā kyā
vo jo ik ḳhvāb ham ne dekhā thā
ḳhvāb hī umr-bhar rahegā kyā
mar rahe haiñ firāq meñ tere
tū hameñ maar kar rahegā kyā
ishq-e-ḳhāna-ḳharāb tere ba.ad
koī ābād ghar rahegā kyā
ham na hoñge to ye jahān-e-tilism
ye fareb-e-nazar rahegā kyā
terā apnā nahīñ tirā saayā
tere zer-e-asar rahegā kyā
mauj apnī jagah kinārā hai
ye kinārā magar rahegā kyā
Dūbnā thā jise vo Duub gayā
tū bhī ab Duub kar rahegā kyā
aaj kyā be-ufuq rahegī shaam
be-sitāra safar rahegā kiyā
dekh kar un parī-nizhādoñ ko
aa.ina ḳhud-nigar rahegā kyā
apne bas meñ rahegī kyā āñdhī
apne bal par shajar rahegā kyā
shahr meñ vo jidhar rahegā rasā
shahr saarā udhar rahegā kyā
Top Urdushayar.com