maiñ ne sochā thā is ajnabī shahr meñ zindagī chalte-phirte guzar jā.egī
ye magar kyā ḳhabar thī ta.āqub meñ hai ek nādīda zanjīr-e-hamsā.egī
ye daraḳhtoñ ke saa.e jo chup-chāp haiñ ham mohabbat-zadoñ ke ye hamrāz haiñ
ab yahīñ dekhnā raat pichhle pahar do dhaḌakte diloñ kī sadā aa.egī
ġham kā sūraj Dhalā dard kā chāñd bhī bujh chale āñsuoñ ke diye aaj bhī
aur isī soch meñ ab sahar aa.egī ab sahar aa.egī ab sahar aa.egī
laakh phūloñ pe pahre biThāte raheñ laakh ūñchī fasīleñ uThāte raheñ
jā.egī sū-e-gulzār jab bhī sabā apnī āvāz-e-zanjīr-e-pā jā.egī
raushnī sham.a kī ḳhud gulū-gīr hai hañsnā tahzīb hai jalnā taqdīr hai
vo magar qatra-e-ashk-e-shabnam jise sub.h kī sab se pahlī kiran pā.egī