Rasa Chughtai

dil ne apni zaban ka pas kiya

Rasa Chughtai

Jaipur, Rajasthan, India

1928-2018
dil ne apnī zabāñ kā paas kiyā
aañkh ne jaane kyā qayās kiyā
kyā kahā bād-e-sub.h-gāhī ne
kyā charāġhoñ ne iltimās kiyā
kuchh ajab taur zindagānī kī
ghar se nikle na ghar kā paas kiyā
ishq jī jaan se kiyā ham ne
aur be-ḳhauf-o-be-hirās kiyā
raat aa.ī udhar sitāroñ ne
shabnamī pairahan libās kiyā
sāya-e-gul to maiñ nahīñ jis ne
gul ko dekhā na gul ko baas kiyā
baal to dhuup meñ safed kiye
zard kis chhāñv meñ libās kiyā
kyā tirā e'tibār thā tū ne
kyā ġhazab shahr-e-nāsapās kiyā
kyā batā.ūñ sabab udāsī kā
be-sabab maiñ use udaas kiyā
zindagī ik kitāb hai jis se
jis ne jitnā bhī iqtibās kiyā
jab bhī zikr-e-ġhazal chhiḌā us ne
zikr merā ba-taur-e-ḳhās kiyā
Top Urdushayar.com